yaad rakhne se bhool jaane se
kat gaye din kisi bahaane se
main saraapa hua dhanak soorat
tere kuch-kuch qareeb aane se
ghar mein bhoochaal aa gaya hota
sirf darwaaza khatkhatane se
ab to itna hi yaad aata hai
koi shikwa sa tha zamaane se
kul bagheecha hi ban gaya naghma
ek panchi ke chahchahaane se
याद रखने से भूल जाने से
कट गए दिन किसी बहाने से
मैं सरापा हुआ धनक सूरत
तेरे कुछ-कुछ क़रीब आने से
घर में भूचाल आ गया होता
सिर्फ़ दरवाज़ा खटखटाने से
अब तो इतना ही याद आता है
कोई शिकवा सा था ज़माने से
कुल बग़ीचा ही बन गया नग़्मा
एक पंछी के चहचहाने से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Yaad Shayari Shayari