hamaari khalvaton ki dhun dar-o-deewar sunte hain
chaman ke rang-o-boo ki bandishon ko khaar sunte hain
hawa sargoshiyaan karti hai jo chidiyon ke kaanon mein
use udte hue rangeen gul par-daar sunte hain
hawaaein haadson ke jo ishaare le ke aati hain
unhen ham ansuna kar den magar ashjaar sunte hain
sabhi sunte hain ghar mein sirf apni-apni dilchaspi
dhansakte baam-o-dar ki siskiyaan me'maar sunte hain
zabaan jo dil mein rahti hai kabhi lab par nahin aati
use koi nahin sunta magar fankaar sunte hain
हमारी ख़ल्वतों की धुन दर-ओ-दीवार सुनते हैं
चमन के रंग-ओ-बू की बंदिशों को ख़ार सुनते हैं
हवा सरगोशियाँ करती है जो चिड़ियों के कानों में
उसे उड़ते हुए रंगीन गुल पर-दार सुनते हैं
हवाएँ हादसों के जो इशारे ले के आती हैं
उन्हें हम अनसुना कर दें मगर अश्जार सुनते हैं
सभी सुनते हैं घर में सिर्फ़ अपनी-अपनी दिलचस्पी
धँसकते बाम-ओ-दर की सिसकियाँ मे'मार सुनते हैं
ज़बाँ जो दिल में रहती है कभी लब पर नहीं आती
उसे कोई नहीं सुनता मगर फ़नकार सुनते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Ishaara Shayari Shayari