chand alfaaz kuchh ahvaal bacha rakhe hain
ham ne do ek hi a'amal bacha rakhe hain
pehle gaate the bajaate the hawaon ke mizaaj
ab to toote hue sur-taal bacha rakhe hain
ud gaye husn-o-jawaani ke parinde kab ke
haan tasavvur mein khud-o-khaal bacha rakhe hain
baitha karta tha kabhi aa ke jo taair us ke
ik dariche ne par-o-baal bacha rakhe hain
ek na-deeda sanam bhi hai kahi tere siva
us ki khaatir ye mah-o-saal bacha rakhe hain
चंद अल्फ़ाज़ कुछ अहवाल बचा रखे हैं
हम ने दो एक ही आ'माल बचा रखे हैं
पहले गाते थे बजाते थे हवाओं के मिज़ाज
अब तो टूटे हुए सुर-ताल बचा रखे हैं
उड़ गए हुस्न-ओ-जवानी के परिंदे कब के
हाँ तसव्वुर में ख़द-ओ-ख़ाल बचा रखे हैं
बैठा करता था कभी आ के जो ताइर उस के
इक दरीचे ने पर-ओ-बाल बचा रखे हैं
एक नादीदा सनम भी है कहीं तेरे सिवा
उस की ख़ातिर ये मह-ओ-साल बचा रखे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Eid Shayari Shayari