raasta hai pur-khatr ye soch kar
subh se baitha hoon main dahleez par
shaakh-e-tanhaa par kabhi tha aashiyaan
aashiyaan mein aasmaan-o-baal-o-par
be-dar-o-deewaar duniya ishq ki
kho gaya sansaar zer-e-baam-o-dar
tootaa jaata hai mera hausla
aa raha hai meri jaanib raahbar
chal ki tujh ko tere ghar tak chhod doon
tu agar rahne de mujh ko mere ghar
aaj tak aaye na jo zer-e-qalam
dhundh vo alfaaz jo hain dar-b-dar
रास्ता है पुर-ख़तर ये सोच कर
सुब्ह से बैठा हूँ मैं दहलीज़ पर
शाख़-ए-तन्हा पर कभी था आशियाँ
आशियाँ में आसमान-ओ-बाल-ओ-पर
बे-दर-ओ-दीवार दुनिया इश्क़ की
खो गया संसार ज़ेर-ए-बाम-ओ-दर
टूटता जाता है मेरा हौसला
आ रहा है मेरी जानिब राहबर
चल कि तुझ को तेरे घर तक छोड़ दूँ
तू अगर रहने दे मुझ को मेरे घर
आज तक आए न जो ज़ेर-ए-क़लम
ढूँड वो अल्फ़ाज़ जो हैं दर-ब-दर
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari