bhoola-bisra waqt phir mehmaan hai
phir wahi aangan wahi daalaan hai
ek kamra hai kahi jis mein nihaan
mere bachpan ka bekhudi hai
but-kade mein jo bhi hai patthar ka hai
aur patthar ka khuda insaan hai
be-tarah mushkil hai tujh ko dekhna
sochna lekin bada aasaan hai
jal utha kyoon-kar mere dil ka charaagh
jab ki saalon se ye ghar veeraan hai
kab tujhe bhoola nahin yaad aa raha
haan tire hone ka mujh ko dhyaan hai
भूला-बिसरा वक़्त फिर मेहमान है
फिर वही आँगन वही दालान है
एक कमरा है कहीं जिस में निहाँ
मेरे बचपन का सर-ओ-सामान है
बुत-कदे में जो भी है पत्थर का है
और पत्थर का ख़ुदा इंसान है
बे-तरह मुश्किल है तुझ को देखना
सोचना लेकिन बड़ा आसान है
जल उठा क्यूँ-कर मिरे दिल का चराग़
जब कि सालों से ये घर वीरान है
कब तुझे भूला नहीं याद आ रहा
हाँ तिरे होने का मुझ को ध्यान है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Mehman Shayari Shayari