jo nahin hai usi khule dar ko | जो नहीं है उसी खुले दर को

  - Om Prabhakar

jo nahin hai usi khule dar ko
ja raha hoon main chhod kar ghar ko

apni dahleez se main taa-manzil
dhoondhta hi raha hoon rahbar ko

kya karoon ja ke qabr mein letoon
kaise bhoolun main maut ke dar ko

tu bhi aata hai saath-saath ki jab
yaad karta hoon apne dilbar ko

ja rahi hai khizaan bagiche se
chhod kar daaman-e-mo'attar ko

yaad karta hai raat bhar ambar
teer khaaye parind ke par ko

जो नहीं है उसी खुले दर को
जा रहा हूँ मैं छोड़ कर घर को

अपनी दहलीज़ से मैं ता-मंज़िल
ढूँढता ही रहा हूँ रहबर को

क्या करूँ जा के क़ब्र में लेटूँ
कैसे भूलूँ मैं मौत के डर को

तू भी आता है साथ-साथ कि जब
याद करता हूँ अपने दिलबर को

जा रही है ख़िज़ाँ बग़ीचे से
छोड़ कर दामन-ए-मोअ'त्तर को

याद करता है रात भर अम्बर
तीर खाए परिंद के पर को

  - Om Prabhakar

Mehboob Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Prabhakar

As you were reading Shayari by Om Prabhakar

Similar Writers

our suggestion based on Om Prabhakar

Similar Moods

As you were reading Mehboob Shayari Shayari