khushboo ka bhi wahi hai jo hai chalan hawa ka
us ka badan hawa ka hai pairhan hawa ka
kal raat yaad-e-jaanaan ya chaandni ke bais
behad chamak raha tha seemaab-tan hawa ka
sadiyon gaya vo us ke peeche had-e-jahaan tak
lekin na dhundh paaya mulk-o-watan hawa ka
apne badan se hat kar mehsoos kar sako to
tum ko dikhaai dega uryaan badan hawa ka
mere qareeb aayi khushboo hawa pahan kar
paltee to ban gai thi khud pairhan hawa ka
toofaan ke ba'ad dekha gulshan ke har shajar ne
be-dam padi thi khushboo odhe kafan hawa ka
ख़ुशबू का भी वही है जो है चलन हवा का
उस का बदन हवा का है पैरहन हवा का
कल रात याद-ए-जानाँ या चाँदनी के बाइ'स
बेहद चमक रहा था सीमाब-तन हवा का
सदियों गया वो उस के पीछे हद-ए-जहाँ तक
लेकिन न ढूँड पाया मुल्क-ओ-वतन हवा का
अपने बदन से हट कर महसूस कर सको तो
तुम को दिखाई देगा उर्यां बदन हवा का
मेरे क़रीब आई ख़ुशबू हवा पहन कर
पल्टी तो बन गई थी ख़ुद पैरहन हवा का
तूफ़ाँ के बा'द देखा गुलशन के हर शजर ने
बे-दम पड़ी थी ख़ुशबू ओढ़े कफ़न हवा का
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Nature Shayari Shayari