jahaan zameen se juda aasmaan dikhta hai
usi jagah mujhe apna makaan dikhta hai
panaah-e-dasht mein aaya dabeez shahr se main
yahan bhi jaal shikaari machaan dikhta hai
safar mein aaya mere ek shahr aisa bhi
jahaan pe door se amn-o-amaan dikhta hai
nazar hamaari agar ho zara faqeeraana
bahut salees ye saara jahaan dikhta hai
sambhal ke dekh ki ai peer meri hasti mein
tujhe kahi bhi khuda ka nishaan dikhta hai
जहाँ ज़मीं से जुड़ा आसमान दिखता है
उसी जगह मुझे अपना मकान दिखता है
पनाह-ए-दश्त में आया दबीज़ शह्र से मैं
यहाँ भी जाल शिकारी मचान दिखता है
सफ़र में आया मिरे एक शह्र ऐसा भी
जहाँ पे दूर से अम्न-ओ-अमान दिखता है
नज़र हमारी अगर हो ज़रा फ़क़ीराना
बहुत सलीस ये सारा जहान दिखता है
सँभल के देख कि ऐ पीर मेरी हस्ती में
तुझे कहीं भी ख़ुदा का निशान दिखता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Wajood Shayari Shayari