nikle hain deewaar se chehre | निकले हैं दीवार से चेहरे

  - Om Prabhakar

nikle hain deewaar se chehre
bujhe-bujhe beemaar se chehre

apne milne waalon ke hain
kyun itne laachaar se chehre

mere ghar ke har kone mein
aa baithe bazaar se chehre

arsa hua hai nahin dekhe hain
ham ne surkh anaar se chehre

waadi ke sandooq se nikle
chamkeele deenaar se chehre

निकले हैं दीवार से चेहरे
बुझे-बुझे बीमार से चेहरे

अपने मिलने वालों के हैं
क्यों इतने लाचार से चेहरे

मेरे घर के हर कोने में
आ बैठे बाज़ार से चेहरे

अर्सा हुआ है नहीं देखे हैं
हम ने सुर्ख़ अनार से चेहरे

वादी के संदूक़ से निकले
चमकीले दीनार से चेहरे

  - Om Prabhakar

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Prabhakar

As you were reading Shayari by Om Prabhakar

Similar Writers

our suggestion based on Om Prabhakar

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari