kisi zameen se kisi aasmaan se aate hain
ghazal ke she'r to dono jahaan se aate hain
vo chand lafz dhadakte hain jo dilon ki tarah
meri zabaan mein teri zabaan se aate hain
chale jo dar se tire kho gaeein sabhi gaddaari
bataayein kaise ki ab ham kahaan se aate hain
jahaan pahunch ke na laute kabhi farishte bhi
vo khuld ho ki na ho ham wahan se aate hain
vo hum-safar ki jo rahte hain aakhiri dam tak
bahut puraani kisi dastaan se aate hain
किसी ज़मीं से किसी आसमाँ से आते हैं
ग़ज़ल के शे'र तो दोनों जहाँ से आते हैं
वो चंद लफ़्ज़ धड़कते हैं जो दिलों की तरह
मिरी ज़बान में तेरी ज़बाँ से आते हैं
चले जो दर से तिरे खो गईं सभी सम्तें
बताएँ कैसे कि अब हम कहाँ से आते हैं
जहाँ पहुँच के न लौटे कभी फ़रिश्ते भी
वो ख़ुल्द हो कि न हो हम वहाँ से आते हैं
वो हम-सफ़र कि जो रहते हैं आख़िरी दम तक
बहुत पुरानी किसी दास्ताँ से आते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Om Prabhakar
our suggestion based on Om Prabhakar
As you were reading Dar Shayari Shayari