badha jo haath to deewaar beech mein aayi | बढ़ा जो हाथ तो दीवार बीच में आई

  - Om Prabhakar

badha jo haath to deewaar beech mein aayi
uthi nigaah to minaar beech mein aayi

safar sabhi ka mu'ayyan hai ek hi dar tak
to kis sabab se ye raftaar beech mein aayi

hisaar-e-farq kabhi ka simat gaya hota
kabhi ana kabhi dastaar beech mein aayi

samajhna sochna sunna jahaan nahin mumkin
kahaan se ishq mein guftaar beech mein aayi

dar-e-behesht raha do qadam ki laut aaya
watan ki soorat-e-laachaar beech mein aayi

बढ़ा जो हाथ तो दीवार बीच में आई
उठी निगाह तो मीनार बीच में आई

सफ़र सभी का मुअ'य्यन है एक ही दर तक
तो किस सबब से ये रफ़्तार बीच में आई

हिसार-ए-फ़र्क़ कभी का सिमट गया होता
कभी अना कभी दस्तार बीच में आई

समझना सोचना सुनना जहाँ नहीं मुमकिन
कहाँ से इश्क़ में गुफ़्तार बीच में आई

दर-ए-बहिश्त रहा दो क़दम कि लौट आया
वतन की सूरत-ए-लाचार बीच में आई

  - Om Prabhakar

Safar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Om Prabhakar

As you were reading Shayari by Om Prabhakar

Similar Writers

our suggestion based on Om Prabhakar

Similar Moods

As you were reading Safar Shayari Shayari