khwaab taabeer ke aseer na the
raahguzaar the ye raahgeer na the
rehnuma the kabhi vo sach hai magar
ye bhi sach hai ki mere peer na the
ham ne zindaan ki baaghbaani ki
mausam-e-gul ke ham aseer na the
patthar aaye the aaine ban ke
warna ham itne be-zameer na the
apna andaaz-e-zeest hai paighaam
ye tamaashe the na-guzeer na the
ख़्वाब ताबीर के असीर न थे
रहगुज़र थे ये राहगीर न थे
रहनुमा थे कभी वो सच है मगर
ये भी सच है कि मेरे पीर न थे
हम ने ज़िंदाँ की बाग़बानी की
मौसम-ए-गुल के हम असीर न थे
पत्थर आए थे आईने बन के
वर्ना हम इतने बे-ज़मीर न थे
अपना अंदाज़-ए-ज़ीस्त है 'पैग़ाम'
ये तमाशे थे ना-गुज़ीर न थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Paigham Aafaqi
our suggestion based on Paigham Aafaqi
As you were reading Sach Shayari Shayari