agar itna na tu ayyaar hota | अगर इतना न तू अय्यार होता

  - Pandit Jawahar Nath Saqi

agar itna na tu ayyaar hota
to dushman ka na hargiz yaar hota

dui ka naqsh mitaa dil se ai kaash
may-e-wahdat se main sarshaar hota

jo hote aaj-kal qais aur farhaad
main un ka qaafila-salaar hota

na hota gar tira taalib jahaan mein
to main paaband-e-nang-o-aar hota

lagaaye chaat par hain us ko dushman
ilaahi main bhi kuchh zardaar hota

agar hota mujhe paas aabroo ka
na tera aashiq-e-deedaar hota

tadpata hai qafas mein taair-e-dil
nikal jaata agar par-daar hota

tamannaa dil ki saaqi jab nikalti
agar munh se na kuchh izhaar hota

अगर इतना न तू अय्यार होता
तो दुश्मन का न हरगिज़ यार होता

दुई का नक़्श मिटता दिल से ऐ काश
मय-ए-वहदत से मैं सरशार होता

जो होते आज-कल क़ैस और फ़रहाद
मैं उन का क़ाफ़िला-सालार होता

न होता गर तिरा तालिब जहाँ में
तो मैं पाबंद-ए-नंग-ओ-आर होता

लगाए चाट पर हैं उस को दुश्मन
इलाही मैं भी कुछ ज़रदार होता

अगर होता मुझे पास आबरू का
न तेरा आशिक़-ए-दीदार होता

तड़पता है क़फ़स में ताइर-ए-दिल
निकल जाता अगर पर-दार होता

तमन्ना दिल की 'साक़ी' जब निकलती
अगर मुँह से न कुछ इज़हार होता

  - Pandit Jawahar Nath Saqi

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Pandit Jawahar Nath Saqi

As you were reading Shayari by Pandit Jawahar Nath Saqi

Similar Writers

our suggestion based on Pandit Jawahar Nath Saqi

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari