baithe ho sar-e-raahguzar kyun nahin jaate
tum log to ghar waale ho ghar kyun nahin jaate
ye waqt ke haakim hain suna waqt ke haakim
ye kahte hain mar jaao to mar kyun nahin jaate
is baat se zaahir hai tumheen ek khuda ho
ham warna kisi aur ke dar kyun nahin jaate
pal hi mein guzar jaati hai sukh-chain ki raatein
dukh-dard ke din pal mein guzar kyun nahin jaate
muddat se kurede bhi nahin yaad kisi ki
phir zakham mere seene ke bhar kyun nahin jaate
is daur mein jeena hai to makkaar ka jeena
ye baat haqeeqat hai to mar kyun nahin jaate
itne hi agar tang ho is shehar se aasi
chupke se kisi door nagar kyun nahin jaate
बैठे हो सर-ए-राहगुज़र क्यों नहीं जाते
तुम लोग तो घर वाले हो घर क्यों नहीं जाते
ये वक़्त के हाकिम हैं सुना वक़्त के हाकिम
ये कहते हैं मर जाओ तो मर क्यों नहीं जाते
इस बात से ज़ाहिर है तुम्हीं एक ख़ुदा हो
हम वर्ना किसी और के दर क्यों नहीं जाते
पल ही में गुज़र जाती है सुख-चैन की रातें
दुख-दर्द के दिन पल में गुज़र क्यों नहीं जाते
मुद्दत से कुरेदे भी नहीं याद किसी की
फिर ज़ख़्म मिरे सीने के भर क्यों नहीं जाते
इस दौर में जीना है तो मक्कार का जीना
ये बात हक़ीक़त है तो मर क्यों नहीं जाते
इतने ही अगर तंग हो इस शहर से 'आसी'
चुपके से किसी दूर नगर क्यों नहीं जाते
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Vidya Rattan Asi
our suggestion based on Pandit Vidya Rattan Asi
As you were reading Shahr Shayari Shayari