yun guzre chaman se ki gulistaan nahin dekha | यूँ गुज़रे चमन से कि गुलिस्ताँ नहीं देखा

  - Panna Lal Noor

yun guzre chaman se ki gulistaan nahin dekha
kaanton pe chale aur biyaabaan nahin dekha

us sham'a pe jalne ko tadpate hain patange
jis sham'a ko aankhon se farozaan nahin dekha

raksaan hai yahan noor-b-kaf jalwa-e-jaanaan
kya tu ne abhi deeda-e-hairaan nahin dekha

hone ko to tha noor ke dil mein bhi bada dard
lekin kabhi chehre se numayaan nahin dekha

यूँ गुज़रे चमन से कि गुलिस्ताँ नहीं देखा
काँटों पे चले और बयाबाँ नहीं देखा

उस शम्अ' पे जलने को तड़पते हैं पतंगे
जिस शम्अ' को आँखों से फ़रोज़ाँ नहीं देखा

रक़्साँ है यहाँ नूर-ब-कफ़ जल्वा-ए-जानाँ
क्या तू ने अभी दीदा-ए-हैराँ नहीं देखा

होने को तो था 'नूर' के दिल में भी बड़ा दर्द
लेकिन कभी चेहरे से नुमायाँ नहीं देखा

  - Panna Lal Noor

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Panna Lal Noor

As you were reading Shayari by Panna Lal Noor

Similar Writers

our suggestion based on Panna Lal Noor

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari