zindagi ko ek rangeen dastaan samjha tha main
zindagi baar-e-garaan hai ye kahaan samjha tha main
haan wahi aansu tapak kar kitna rusva kar gaye
jin ko apna raazdaar-e-be-zabaan samjha tha main
un ka daaman thaam kar kitne darkhshan ho gaye
mere vo aansu ki jin ko raayegaan samjha tha main
allah allah un ke paaye naaz ka husn-e-khiraam
raahguzaar thi un ki jis ko kahkashaan samjha tha main
tah-b-tah zulm-o-sitam ki ik rida-e-neel-goon
kheench di sar par jise haft aasmaan samjha tha main
ajeeb shakhs tha mansoor sochta hoon main
ki de ke sar bhi pukaara kiya khuda hoon main
na sair-gaah na meri qayaam-gaah yahan
bhatk ke hadd-e-ta'ayyun mein aa gaya hoon main
khird ki saari hadein paar ho gaeein phir bhi
kisi pe ye na khula aaj tak ki kya hoon main
suna hai jab se har ik shay mein tera jalwa hai
bade ghuroor se aaina dekhta hoon main
ज़िंदगी को एक रंगीं दास्ताँ समझा था मैं
ज़िंदगी बार-ए-गराँ है ये कहाँ समझा था मैं
हाँ वही आँसू टपक कर कितना रुस्वा कर गए
जिन को अपना राज़दार-ए-बे-ज़बाँ समझा था मैं
उन का दामन थाम कर कितने दरख़्शाँ हो गए
मेरे वो आँसू कि जिन को राएगाँ समझा था मैं
अल्लाह अल्लाह उन के पाए नाज़ का हुस्न-ए-ख़िराम
रहगुज़र थी उन की जिस को कहकशाँ समझा था मैं
तह-ब-तह ज़ुल्म-ओ-सितम की इक रिदा-ए-नील-गूँ
खींच दी सर पर जिसे हफ़्त आसमाँ समझा था मैं
अजीब शख़्स था मंसूर सोचता हूँ मैं
कि दे के सर भी पुकारा किया ख़ुदा हूँ मैं
न सैर-गाह न मेरी क़याम-गाह यहाँ
भटक के हद्द-ए-तअ'य्युन में आ गया हूँ मैं
ख़िरद की सारी हदें पार हो गईं फिर भी
किसी पे ये न खुला आज तक कि क्या हूँ मैं
सुना है जब से हर इक शय में तेरा जल्वा है
बड़े ग़ुरूर से आईना देखता हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Panna Lal Noor
our suggestion based on Panna Lal Noor
As you were reading Emotional Shayari Shayari