main ne socha hi nahin mar ke kidhar jaaunga | मैं ने सोचा ही नहीं मर के किधर जाऊँगा

  - Panna Lal Noor

main ne socha hi nahin mar ke kidhar jaaunga
main to maanind-e-saba yaa se guzar jaaunga

sair-e-gulshan ka ye anjaam kahaan socha tha
le ke is bazm se ik zakham-e-jigar jaaunga

jab se maanoos tire gham se hua hoon ai dost
aisa lagta hai ki har gham se guzar jaaunga

husn ki aanch na do ishq zada dil ko mere
naqsh-e-posheeda ki maanind ubhar jaaunga

ye na bhoolen meri hasti ko mitaane waale
meri fitrat hai sanwarna main sanwar jaaunga

मैं ने सोचा ही नहीं मर के किधर जाऊँगा
मैं तो मानिंद-ए-सबा याँ से गुज़र जाऊँगा

सैर-ए-गुलशन का ये अंजाम कहाँ सोचा था
ले के इस बज़्म से इक ज़ख़्म-ए-जिगर जाऊँगा

जब से मानूस तिरे ग़म से हुआ हूँ ऐ दोस्त
ऐसा लगता है कि हर ग़म से गुज़र जाऊँगा

हुस्न की आँच न दो इश्क़ ज़दा दिल को मिरे
नक़्श-ए-पोशीदा की मानिंद उभर जाऊँगा

ये न भूलें मिरी हस्ती को मिटाने वाले
मेरी फ़ितरत है सँवरना मैं सँवर जाऊँगा

  - Panna Lal Noor

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Panna Lal Noor

As you were reading Shayari by Panna Lal Noor

Similar Writers

our suggestion based on Panna Lal Noor

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari