chhupi hui kahi sajdon mein sar-kashi to nahin
ye meri rasm-e-ibaadat bhi bandagi to nahin
baghair wajh ye saaqi ki be-rukhi to nahin
main sochta hoon kahi kuchh khata hui to nahin
main mutmain hoon magar sirf ye bata deeje
ye gham jo aap ne baksha hai aarzi to nahin
sabhi ke dil mein mohabbat ki aag hoti hai
sabhi ko raas bhi aaye ye laazmi to nahin
ajal ka chehra nazar aaye kuchh bandhe dhaaras
rah-e-hayaat mein itni bhi raushni to nahin
tasavvuraat mein kuchh der kho to jaata hoon
magar ab in mein bhi agli si dilkashi to nahin
chaman wahi hai bahaarein wahi hain gul bhi wahi
magar gulon mein vo khushboo vo taazgi to nahin
har ek cheez nazar aati hai udaas udaas
kahi ye mere hi ehsaas ki kami to nahin
ye saare ranj ba-qaid-e-hayaat hi to nahin
hayaat meri koi umr khizr ki to nahin
kisi pe barase koi boond boond ko tarse
ye aur jo bhi ho saaqi ki munsifi to nahin
kabhi jo noor koi rishta-e-wafa toote
ye dekh lena ki aankhon mein kuchh nami to nahin
छुपी हुई कहीं सज्दों में सर-कशी तो नहीं
ये मेरी रस्म-ए-इबादत भी बंदगी तो नहीं
बग़ैर वज्ह ये साक़ी की बे-रुख़ी तो नहीं
मैं सोचता हूँ कहीं कुछ ख़ता हुई तो नहीं
मैं मुतमइन हूँ मगर सिर्फ़ ये बता दीजे
ये ग़म जो आप ने बख़्शा है आरज़ी तो नहीं
सभी के दिल में मोहब्बत की आग होती है
सभी को रास भी आए ये लाज़मी तो नहीं
अजल का चेहरा नज़र आए कुछ बंधे ढारस
रह-ए-हयात में इतनी भी रौशनी तो नहीं
तसव्वुरात में कुछ देर खो तो जाता हूँ
मगर अब इन में भी अगली सी दिलकशी तो नहीं
चमन वही है बहारें वही हैं गुल भी वही
मगर गुलों में वो ख़ुशबू वो ताज़गी तो नहीं
हर एक चीज़ नज़र आती है उदास उदास
कहीं ये मेरे ही एहसास की कमी तो नहीं
ये सारे रंज ब-क़ैद-ए-हयात ही तो नहीं
हयात मेरी कोई उम्र ख़िज़र की तो नहीं
किसी पे बरसे कोई बूँद बूँद को तरसे
ये और जो भी हो साक़ी की मुंसिफ़ी तो नहीं
कभी जो 'नूर' कोई रिश्ता-ए-वफ़ा टूटे
ये देख लेना कि आँखों में कुछ नमी तो नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Panna Lal Noor
our suggestion based on Panna Lal Noor
As you were reading Ehsaas Shayari Shayari