adoo ke haath se main jaam le kar pee nahin saka | अदू के हाथ से मैं जाम ले कर पी नहीं सकता

  - Panna Lal Noor

adoo ke haath se main jaam le kar pee nahin saka
kisi kam-zarf ka ehsaan le kar jee nahin saka

kabhi jee chahta hai naam le kar zor se cheekhoon
na jaane naam kyun zalim ka phir le bhi nahin saka

mere dil ne zamaane mein kuchh itne zakham khaaye hain
maseeha bhi dil-e-sad-chaak ko ab si nahin saka

meri tishna-labi par noor ye bhi tanz-e-saaqi hai
bhare hain har taraf jaam-o-suboo aur pee nahin saka

अदू के हाथ से मैं जाम ले कर पी नहीं सकता
किसी कम-ज़र्फ़ का एहसान ले कर जी नहीं सकता

कभी जी चाहता है नाम ले कर ज़ोर से चीख़ूँ
न जाने नाम क्यों ज़ालिम का फिर ले भी नहीं सकता

मिरे दिल ने ज़माने में कुछ इतने ज़ख़्म खाए हैं
मसीहा भी दिल-ए-सद-चाक को अब सी नहीं सकता

मिरी तिश्ना-लबी पर 'नूर' ये भी तंज़-ए-साक़ी है
भरे हैं हर तरफ़ जाम-ओ-सुबू और पी नहीं सकता

  - Panna Lal Noor

Taareef Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Panna Lal Noor

As you were reading Shayari by Panna Lal Noor

Similar Writers

our suggestion based on Panna Lal Noor

Similar Moods

As you were reading Taareef Shayari Shayari