vo jo tum ne gham diya tha mujhe saazgaar hota | वो जो तुम ने ग़म दिया था मुझे साज़गार होता

  - Panna Lal Noor

vo jo tum ne gham diya tha mujhe saazgaar hota
agar itna aur hota ki vo ustuvaar hota

tiri be-rukhi ke sadqe mujhe aa gaya hai jeena
na to roothta na zalim mujhe gham se pyaar hota

shab-o-roz ke nazaare ye karishme rang-o-boo ke
ye tilism tod deta agar ikhtiyaar hota

use waqf-e-khaak kar ke kiya khoob tu ne warna
ye vo zarra tha ki uthata to falak pe baar hota

kabhi ek baar bhi to mera tazkira chaman mein
b-zabaan-e-gul na hota b-zabaan-e-khaar hota

lo suno ki ab zamaana tumhein kah raha hai kya kuchh
yahi main jo arz karta tumhein naagawaar hota

mere paas-e-zabt-e-gham ko na hua pasand warna
na mujhe qaraar hota na tumhein qaraar hota

are noor kaun sunta tira uzr-e-be-gunaahi
tu gunaah bhi na karta to gunaahgaar hota

वो जो तुम ने ग़म दिया था मुझे साज़गार होता
अगर इतना और होता कि वो उस्तुवार होता

तिरी बे-रुख़ी के सदक़े मुझे आ गया है जीना
न तो रूठता न ज़ालिम मुझे ग़म से प्यार होता

शब-ओ-रोज़ के नज़ारे ये करिश्मे रंग-ओ-बू के
ये तिलिस्म तोड़ देता अगर इख़्तियार होता

उसे वक़्फ़-ए-ख़ाक कर के किया ख़ूब तू ने वर्ना
ये वो ज़र्रा था कि उठता तो फ़लक पे बार होता

कभी एक बार भी तो मिरा तज़्किरा चमन में
ब-ज़बान-ए-गुल न होता ब-ज़बान-ए-ख़ार होता

लो सुनो कि अब ज़माना तुम्हें कह रहा है क्या कुछ
यही मैं जो अर्ज़ करता तुम्हें नागवार होता

मिरे पास-ए-ज़ब्त-ए-ग़म को न हुआ पसंद वर्ना
न मुझे क़रार होता न तुम्हें क़रार होता

अरे 'नूर' कौन सुनता तिरा उज़्र-ए-बे-गुनाही
तू गुनाह भी न करता तो गुनाहगार होता

  - Panna Lal Noor

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Panna Lal Noor

As you were reading Shayari by Panna Lal Noor

Similar Writers

our suggestion based on Panna Lal Noor

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari