aankh patthar ki tarah aks se khaali hogi | आँख पत्थर की तरह अक्स से ख़ाली होगी

  - Parkash Fikri

aankh patthar ki tarah aks se khaali hogi
khoon-e-naahq ki magar jism pe laali hogi

mil ke baithege wahi log adhoore aadhe
phir wahi mez wahi sard piyaali hogi

aise mausam mein vo chup-chaap nazar jo aaya
us ne aankhon mein koi shakl basa li hogi

main ne jo cheez ganwa di use heera kah ke
kisi nadaar musaafir ne utha li hogi

us ko lafzon mein utaarun to varq hoon raushan
us ki tasveer bana luun to misaali hogi

mil bhi jaaye meri khwaahish ka sila jo mujh ko
rooh apni wahi majboor sawaali hogi

yaar fikri ye chamakte hue jugnoo rakh le
raat jungle ki abhi aur bhi kaali hogi

आँख पत्थर की तरह अक्स से ख़ाली होगी
ख़ून-ए-नाहक़ की मगर जिस्म पे लाली होगी

मिल के बैठेंगे वही लोग अधूरे आधे
फिर वही मेज़ वही सर्द पियाली होगी

ऐसे मौसम में वो चुप-चाप नज़र जो आया
उस ने आँखों में कोई शक्ल बसा ली होगी

मैं ने जो चीज़ गँवा दी उसे हीरा कह के
किसी नादार मुसाफ़िर ने उठा ली होगी

उस को लफ़्ज़ों में उतारूँ तो वरक़ हूँ रौशन
उस की तस्वीर बना लूँ तो मिसाली होगी

मिल भी जाए मिरी ख़्वाहिश का सिला जो मुझ को
रूह अपनी वही मजबूर सवाली होगी

यार 'फ़िक्री' ये चमकते हुए जुगनू रख ले
रात जंगल की अभी और भी काली होगी

  - Parkash Fikri

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari