jis ka badan gulaab tha vo yaar bhi nahin
ab ke baras bahaar ke aasaar bhi nahin
pedon pe ab bhi chhaai hain thandi udaasiyaan
imkaan jashn-e-rang ka is baar bhi nahin
dariya ke iltifaat se itna hi bas hua
tishna nahin hain hont to sarshaar bhi nahin
raahon ke pech-o-kham bhi use dekhne ka shauq
chalne ko tez dhoop mein taiyyaar bhi nahin
bichhde huoon ki yaad nibhaate hain jaan kar
warna kisi ko bhoolna dushwaar bhi nahin
jitna sitam-shiaar hai ye dil ye apna dil
utne sitam-shiaar to aghyaar bhi nahin
ahl-e-hunr ke baab mein us ka bhi zikr ho
fikri ko aisi baat pe israar bhi nahin
जिस का बदन गुलाब था वो यार भी नहीं
अब के बरस बहार के आसार भी नहीं
पेड़ों पे अब भी छाई हैं ठंडी उदासियाँ
इम्कान जश्न-ए-रंग का इस बार भी नहीं
दरिया के इल्तिफ़ात से इतना ही बस हुआ
तिश्ना नहीं हैं होंट तो सरशार भी नहीं
राहों के पेच-ओ-ख़म भी उसे देखने का शौक़
चलने को तेज़ धूप में तय्यार भी नहीं
बिछड़े हुओं की याद निभाते हैं जान कर
वर्ना किसी को भूलना दुश्वार भी नहीं
जितना सितम-शिआर है ये दिल ये अपना दिल
उतने सितम-शिआर तो अग़्यार भी नहीं
अहल-ए-हुनर के बाब में उस का भी ज़िक्र हो
'फ़िक्री' को ऐसी बात पे इसरार भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parkash Fikri
our suggestion based on Parkash Fikri
As you were reading Baaten Shayari Shayari