kisi ka naqsh andhere mein jab ubhar aaya
udaas chehra shab-e-dard ka nikhar aaya
khule kiwaadon ke peeche chhupa tha sannaata
safar se haara musaafir jab apne ghar aaya
javaaz dhunde vo apne shikasta-khwaabon ka
main us ki aankhon se aise sawaal kar aaya
vo aks aks khayaalon ka aaina nikla
mujhe vo shakhs ujaale mein jab nazar aaya
ukhdati saanson mein kya tha bataaun kya fikri
yahi samajh lo ki qissa tamaam kar aaya
किसी का नक़्श अंधेरे में जब उभर आया
उदास चेहरा शब-ए-दर्द का निखर आया
खुले किवाड़ों के पीछे छुपा था सन्नाटा
सफ़र से हारा मुसाफ़िर जब अपने घर आया
जवाज़ ढूँडे वो अपने शिकस्ता-ख़्वाबों का
मैं उस की आँखों से ऐसे सवाल कर आया
वो अक्स अक्स ख़यालों का आइना निकला
मुझे वो शख़्स उजाले में जब नज़र आया
उखड़ती साँसों में क्या था बताऊँ क्या 'फ़िक्री'
यही समझ लो कि क़िस्सा तमाम कर आया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parkash Fikri
our suggestion based on Parkash Fikri
As you were reading Nigaah Shayari Shayari