ye jo jugnoo hain ya sitaare hain
ham mein raushan hain ye hamaare hain
kya khizaan kya bahaar ka jhagda
jitne mausam hain ham ko pyaare hain
kis ke khaake mein ham bharen un ko
rang phoolon se jo utaare hain
apne andar ki raakh mein ab bhi
jalte bujhte se kuchh sharaare hain
beej bote hain jo hawaon mein
kitne maasoom vo bichaare hain
khwaab-e-farda se kya hamein fikri
aise khwaabon se ab kinaare hain
ये जो जुगनू हैं या सितारे हैं
हम में रौशन हैं ये हमारे हैं
क्या ख़िज़ाँ क्या बहार का झगड़ा
जितने मौसम हैं हम को प्यारे हैं
किस के ख़ाके में हम भरें उन को
रंग फूलों से जो उतारे हैं
अपने अंदर की राख में अब भी
जलते बुझते से कुछ शरारे हैं
बीज बोते हैं जो हवाओं में
कितने मासूम वो बिचारे हैं
ख़्वाब-ए-फ़र्दा से क्या हमें 'फ़िक्री'
ऐसे ख़्वाबों से अब किनारे हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parkash Fikri
our suggestion based on Parkash Fikri
As you were reading Ujaala Shayari Shayari