zard pedon pe shaam hai giryaa | ज़र्द पेड़ों पे शाम है गिर्यां

  - Parkash Fikri

zard pedon pe shaam hai giryaa
jee udaasi ke dasht mein hairaan

neem-roshan siyahiyaan har soo
aur hawaaein sukoot par khandaan

thehre paani ke sard sheeshe mein
guzre mausam ke aks hain larzaan

sab ke honton pe jam gaeein baatein
sab ki aankhon mein raat nauha-khwaan

rabt rishton ke rang hain feke
khwaab qisse kahaaniyaan be-jaan

jo tha raaste ki raushni fikri
vo bhi nazaron se ho gaya pinhaan

ज़र्द पेड़ों पे शाम है गिर्यां
जी उदासी के दश्त में हैराँ

नीम-रौशन सियाहियाँ हर सू
और हवाएँ सुकूत पर ख़ंदाँ

ठहरे पानी के सर्द शीशे में
गुज़रे मौसम के अक्स हैं लर्ज़ां

सब के होंटों पे जम गईं बातें
सब की आँखों में रात नौहा-ख़्वाँ

रब्त रिश्तों के रंग हैं फीके
ख़्वाब क़िस्से कहानियाँ बे-जाँ

जो था रस्ते की रौशनी 'फ़िक्री'
वो भी नज़रों से हो गया पिन्हाँ

  - Parkash Fikri

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari