dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye | दुश्मनी की इस हवा को तेज़ होना चाहिए

  - Parkash Fikri

dushmani ki is hawa ko tez hona chahiye
us ki kashti ko sar-e-saahil dubona chahiye

cheen kar saari ummeedein mujh se vo kehta hai ab
kisht-e-dil mein aarzoo ka beej bona chahiye

is samundar ki kasaafat aankh mein chubhne lagi
us ka chehra aur hi paani se dhona chahiye

saunp jaayen in darakhton ko nishaani naam ki
ham kabhi the agli rut ko ilm hona chahiye

ye bhi koi tuk hui ki kuchh hua to ro pade
shakhsiyat ka rang fikri yun na khona chahiye

दुश्मनी की इस हवा को तेज़ होना चाहिए
उस की कश्ती को सर-ए-साहिल डुबोना चाहिए

छीन कर सारी उम्मीदें मुझ से वो कहता है अब
किश्त-ए-दिल में आरज़ू का बीज बोना चाहिए

इस समुंदर की कसाफ़त आँख में चुभने लगी
उस का चेहरा और ही पानी से धोना चाहिए

सौंप जाएँ इन दरख़्तों को निशानी नाम की
हम कभी थे अगली रुत को इल्म होना चाहिए

ये भी कोई तुक हुई कि कुछ हुआ तो रो पड़े
शख़्सियत का रंग 'फ़िक्री' यूँ न खोना चाहिए

  - Parkash Fikri

Intiqam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Intiqam Shayari Shayari