rangeen khwaab aas ke naqshe jala bhi de | रंगीन ख़्वाब आस के नक़्शे जला भी दे

  - Parkash Fikri

rangeen khwaab aas ke naqshe jala bhi de
jaan pe bani hai raushni is ko bujha bhi de

naamoos-e-zabt bojh hai kab tak liye phiroon
saari umeedein cheen ke mujh ko rula bhi de

pahuncha hai kis ki khoj mein hadd-e-zawaal tak
gum ho gaya hai kaun tu us ka pata bhi de

bechaargi ki raat ke ghaar-e-siyaah se
qaid-e-sukuut tod ke koi sada bhi de

har aaine pe waqt ki ungli ke daagh hain
mit jo saken ye daagh to in ko mita bhi de

is dasht-e-be-giyaah mein majboor hoon khada
manzil ka kuchh nishaan de rasta bata bhi de

jis pe rutoon ke haath ki tahreer hai likhi
fikri vo apne jism ki deewaar dhaa bhi de

रंगीन ख़्वाब आस के नक़्शे जला भी दे
जाँ पे बनी है रौशनी इस को बुझा भी दे

नामूस-ए-ज़ब्त बोझ है कब तक लिए फिरूँ
सारी उमीदें छीन के मुझ को रुला भी दे

पहुँचा है किस की खोज में हद्द-ए-ज़वाल तक
गुम हो गया है कौन तू उस का पता भी दे

बेचारगी की रात के ग़ार-ए-सियाह से
क़ैद-ए-सुकूत तोड़ के कोई सदा भी दे

हर आइने पे वक़्त की उँगली के दाग़ हैं
मिट जो सकें ये दाग़ तो इन को मिटा भी दे

इस दश्त-ए-बे-गियाह में मजबूर हूँ खड़ा
मंज़िल का कुछ निशान दे रस्ता बता भी दे

जिस पे रुतों के हाथ की तहरीर है लिखी
'फ़िक्री' वो अपने जिस्म की दीवार ढा भी दे

  - Parkash Fikri

Ummeed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Ummeed Shayari Shayari