saath dariya ke ham bhi jaayen kya | साथ दरिया के हम भी जाएँ क्या

  - Parkash Fikri

saath dariya ke ham bhi jaayen kya
zor-lehron ka aazmaayein kya

ped saare ujad chuke kab ke
shor karti hain phir hawaaein kya

kab vo guzregi is kharaabe se
fasl-e-gul se ye pooch aayein kiya

phool baagon mein jab nahin khilte
phool gamlon mein ham khilaayein kya

raat jungle ki shehar mein aayi
ghar charaagon se jagmagaa'ii kya

jo khuda hai kabhi to soche vo
ek duniya nayi banaaiin kya

khauf kaisa hai shaam se fikri
aaj utarengi phir bulaaein kya

साथ दरिया के हम भी जाएँ क्या
ज़ोर-लहरों का आज़माएँ क्या

पेड़ सारे उजड़ चुके कब के
शोर करती हैं फिर हवाएँ क्या

कब वो गुज़रेगी इस ख़राबे से
फ़स्ल-ए-गुल से ये पूछ आएँ किया

फूल बाग़ों में जब नहीं खिलते
फूल गमलों में हम खिलाएँ क्या

रात जंगल की शहर में आई
घर चराग़ों से जगमगाईं क्या

जो ख़ुदा है कभी तो सोचे वो
एक दुनिया नई बनाईं क्या

ख़ौफ़ कैसा है शाम से 'फ़िक्री'
आज उतरेंगी फिर बुलाएँ क्या

  - Parkash Fikri

Wahshat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Wahshat Shayari Shayari