ehsaas-e-ziyaan chain se sone nahin deta | एहसास-ए-ज़ियाँ चैन से सोने नहीं देता

  - Parkash Fikri

ehsaas-e-ziyaan chain se sone nahin deta
rona bhi agar chaahoon to rone nahin deta

saahil ki nigaahon mein koi dard hai aisa
maujon ko meri naav dubone nahin deta

kya jaaniye kis baat pe dushman hua mausam
sarsabz kisi shaakh ko hone nahin deta

larzaan hai kisi khauf se jo shaam ka chehra
aankhon mein koi khwaab pirone nahin deta

ik zahar sulagta hai rag-e-jaan mein jo fikri
ik pal bhi tiri yaad mein khone nahin deta

एहसास-ए-ज़ियाँ चैन से सोने नहीं देता
रोना भी अगर चाहूँ तो रोने नहीं देता

साहिल की निगाहों में कोई दर्द है ऐसा
मौजों को मिरी नाव डुबोने नहीं देता

क्या जानिए किस बात पे दुश्मन हुआ मौसम
सरसब्ज़ किसी शाख़ को होने नहीं देता

लर्ज़ां है किसी ख़ौफ़ से जो शाम का चेहरा
आँखों में कोई ख़्वाब पिरोने नहीं देता

इक ज़हर सुलगता है रग-ए-जाँ में जो 'फ़िक्री'
इक पल भी तिरी याद में खोने नहीं देता

  - Parkash Fikri

Kashti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Kashti Shayari Shayari