vo raabte bhi anokhe jo dooriyaan barten | वो राब्ते भी अनोखे जो दूरियाँ बरतें

  - Parkash Fikri

vo raabte bhi anokhe jo dooriyaan barten
vo qurbaten bhi niraali jo lams ko tarsen

sawaal ban ke sulagte hain raat bhar taare
kahaan hai neend hamaari vo bas yahi poochen

bulaata rehta hai jungle hamein bahaanon se
sunen jo us ki to shaayad na phir kabhi lautain

fislati jaati hai haathon se ret lamhon ki
kahaan hai bas mein hamaare ki ham use roken

haqeeqaton ka badalna to khwaab hai fikri
magar ye khwaab hai aisa ki sab jise dekhen

वो राब्ते भी अनोखे जो दूरियाँ बरतें
वो क़ुर्बतें भी निराली जो लम्स को तरसें

सवाल बन के सुलगते हैं रात भर तारे
कहाँ है नींद हमारी वो बस यही पूछें

बुलाता रहता है जंगल हमें बहानों से
सुनें जो उस की तो शायद न फिर कभी लौटें

फिसलती जाती है हाथों से रेत लम्हों की
कहाँ है बस में हमारे कि हम उसे रोकें

हक़ीक़तों का बदलना तो ख़्वाब है 'फ़िक्री'
मगर ये ख़्वाब है ऐसा कि सब जिसे देखें

  - Parkash Fikri

Fantasy Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parkash Fikri

As you were reading Shayari by Parkash Fikri

Similar Writers

our suggestion based on Parkash Fikri

Similar Moods

As you were reading Fantasy Shayari Shayari