b-zaahir ye jo begaane bahut hain
hamaare jaane-pahchaane bahut hain
khird-mando mubarak azm-e-aflaak
zameen par chand deewane bahut hain
shabistaanon se tum niklo to dekho
bhare shehron mein veeraane bahut hain
tumhaara may-kada tum ko mubarak
hamein yaadon ke paimaane bahut hain
gila kya gair ki begaangi ka
ki jo apne hain begaane bahut hain
nizaam-e-zeest ka mehwar mohabbat
haqeeqat ek afsaane bahut hain
ब-ज़ाहिर ये जो बेगाने बहुत हैं
हमारे जाने-पहचाने बहुत हैं
ख़िरद-मंदो मुबारक अज़्म-ए-अफ़्लाक
ज़मीं पर चंद दीवाने बहुत हैं
शबिस्तानों से तुम निकलो तो देखो
भरे शहरों में वीराने बहुत हैं
तुम्हारा मय-कदा तुम को मुबारक
हमें यादों के पैमाने बहुत हैं
गिला क्या ग़ैर की बेगानगी का
कि जो अपने हैं बेगाने बहुत हैं
निज़ाम-ए-ज़ीस्त का मेहवर मोहब्बत
हक़ीक़त एक अफ़्साने बहुत हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Shikwa Shayari Shayari