zahar sheerin hai sach piye jaao | ज़हर शीरीं है सच पिए जाओ

  - Parveen Fana Syed

zahar sheerin hai sach piye jaao
hamdamo mar ke bhi jiye jaao

imtihaan-e-wafa hamein manzoor
intiha-e-sitam kiye jaao

khul na jaaye fareb-e-chaara-gari
zakham har haal mein siye jaao

raakh ka dher hain meh-o-anjum
raakh mein justuju kiye jaao

rah-ravi ka yahi taqaza hai
raahzan ko dua diye jaao

ज़हर शीरीं है सच पिए जाओ
हमदमो मर के भी जिए जाओ

इम्तिहान-ए-वफ़ा हमें मंज़ूर
इंतिहा-ए-सितम किए जाओ

खुल न जाए फ़रेब-ए-चारा-गरी
ज़ख़्म हर हाल में सिए जाओ

राख का ढेर हैं मह-ओ-अंजुम
राख में जुस्तुजू किए जाओ

रह-रवी का यही तक़ाज़ा है
राहज़न को दुआ दिए जाओ

  - Parveen Fana Syed

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari