naamooos-e-wafa ka paas raha shikwa bhi zabaan tak la na sake
andar se to roye toot ke ham par ek bhi ashk baha na sake
saahil to nazar aaya lekin toofaan mein bala ki shiddat thi
maujon ko manaaya laakh magar ham jaanib saahil aa na sake
ham kahte kahte haar gaye aur duniya ne kuchh bhi na suna
jab duniya ne israar kiya ham apna dard suna na sake
kab ham ne gulistaan chaaha tha kab ham ne bahaarein maangiin theen
ik gul ki tamannaa thi ham ko vo bhi to chaman mein pa na sake
नामूस-ए-वफ़ा का पास रहा शिकवा भी ज़बाँ तक ला न सके
अंदर से तो रोए टूट के हम पर एक भी अश्क बहा न सके
साहिल तो नज़र आया लेकिन तूफ़ाँ में बला की शिद्दत थी
मौजों को मनाया लाख मगर हम जानिब साहिल आ न सके
हम कहते कहते हार गए और दुनिया ने कुछ भी न सुना
जब दुनिया ने इसरार किया हम अपना दर्द सुना न सके
कब हम ने गुलिस्ताँ चाहा था कब हम ने बहारें माँगीं थीं
इक गुल की तमन्ना थी हम को वो भी तो चमन में पा न सके
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Environment Shayari Shayari