tum ne dil ke diye bujaaye hain
ham ghamon ke charaagh laaye hain
tum se ab ham gila karein bhi to kya
ham ne khud hi fareb khaaye hain
saf-b-saf raushni ke parde mein
zulmato_n ke muheeb saaye hain
tum ne mahlon ki raushni ke liye
kitne ma'soom dil jalaae hain
qatl jab bhi hue khayal mere
kaise kaise khayal aaye hain
तुम ने दिल के दिए बुझाए हैं
हम ग़मों के चराग़ लाए हैं
तुम से अब हम गिला करें भी तो क्या
हम ने ख़ुद ही फ़रेब खाए हैं
सफ़-ब-सफ़ रौशनी के पर्दे में
ज़ुल्मतों के मुहीब साए हैं
तुम ने महलों की रौशनी के लिए
कितने मा'सूम दिल जलाए हैं
क़त्ल जब भी हुए ख़याल मिरे
कैसे कैसे ख़याल आए हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Shikwa Shayari Shayari