jab baantna hi azaab thehra
phir kaisa hisaab maangte ho
sab honton pe mohr lag chuki hai
ab kis se jawaab maangte ho
kaliyon ko masal ke apne haathon
phoolon se shabaab maangte ho
har lafz saleeb par chadha kar
tum kaisi kitaab maangte ho
sab roshaniyon ko cheen kar bhi
deewaanon se khwaab maangte ho
firdaus-e-bareen mein mil sakegi
is yug mein sharaab maangte ho
जब बाँटना ही अज़ाब ठहरा
फिर कैसा हिसाब माँगते हो
सब होंटों पे मोहर लग चुकी है
अब किस से जवाब माँगते हो
कलियों को मसल के अपने हाथों
फूलों से शबाब माँगते हो
हर लफ़्ज़ सलीब पर चढ़ा कर
तुम कैसी किताब माँगते हो
सब रौशनियों को छीन कर भी
दीवानों से ख़्वाब माँगते हो
फ़िरदौस-ए-बरीं में मिल सकेगी
इस युग में शराब माँगते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Maikada Shayari Shayari