kaash toofaan mein safeene ko utaara hota | काश तूफ़ाँ में सफ़ीने को उतारा होता

  - Parveen Fana Syed

kaash toofaan mein safeene ko utaara hota
doob jaata bhi to maujon ne ubhaara hota

ham to saahil ka tasavvur bhi mita sakte the
lab-e-saahil se jo halka sa ishaara hota

tum hi waqif na the aadaab-e-jafaa se warna
ham ne har zulm ko hans hans ke sahaara hota

gham to khair apna muqaddar hai so is ka kya zikr
zahar bhi ham ko b-sad-shauq gawara hota

baagbaan teri inaayat ka bharam kyun khulta
ek bhi phool jo gulshan mein hamaara hota

tum par asraar-e-fana raaz-e-baqa khul jaate
tum ne ek baar to yazdaan ko pukaara hota

काश तूफ़ाँ में सफ़ीने को उतारा होता
डूब जाता भी तो मौजों ने उभारा होता

हम तो साहिल का तसव्वुर भी मिटा सकते थे
लब-ए-साहिल से जो हल्का सा इशारा होता

तुम ही वाक़िफ़ न थे आदाब-ए-जफ़ा से वर्ना
हम ने हर ज़ुल्म को हँस हँस के सहारा होता

ग़म तो ख़ैर अपना मुक़द्दर है सो इस का क्या ज़िक्र
ज़हर भी हम को ब-सद-शौक़ गवारा होता

बाग़बाँ तेरी इनायत का भरम क्यूँ खुलता
एक भी फूल जो गुलशन में हमारा होता

तुम पर असरार-ए-फ़ना राज़-ए-बक़ा खुल जाते
तुम ने एक बार तो यज़्दाँ को पुकारा होता

  - Parveen Fana Syed

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari