kya gazab tu ne ai bahaar kiya | क्या ग़ज़ब तू ने ऐ बहार किया

  - Parveen Fana Syed

kya gazab tu ne ai bahaar kiya
patti patti ko be-qaraar kiya

ab to sach bolne ki rasm nahin
kis ne phir ehtimaam-e-daar kiya

aatish-e-dard mein kami na hui
laakh aankhon ko ashk-baar kiya

raushni ki talash mein ham ne
baarha zulmato_n se pyaar kiya

mauj-dar-mauj the dukhon ke bhanwar
ham ne tanhaa sabhi ko paar kiya

jab banaya tha chaand itna haseen
us ka anjaam kyun ghubaar kiya

क्या ग़ज़ब तू ने ऐ बहार किया
पत्ती पत्ती को बे-क़रार किया

अब तो सच बोलने की रस्म नहीं
किस ने फिर एहतिमाम-ए-दार किया

आतिश-ए-दर्द में कमी न हुई
लाख आँखों को अश्क-बार किया

रौशनी की तलाश में हम ने
बारहा ज़ुल्मतों से प्यार किया

मौज-दर-मौज थे दुखों के भँवर
हम ने तन्हा सभी को पार किया

जब बनाया था चाँद इतना हसीं
उस का अंजाम क्यूँ ग़ुबार किया

  - Parveen Fana Syed

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari