dard ki raat ne ye rang bhi dikhlaaye hain | दर्द की रात ने ये रंग भी दिखलाए हैं

  - Parveen Fana Syed

dard ki raat ne ye rang bhi dikhlaaye hain
meri palkon pe sitaare se utar aaye hain

dil ke veeraane mein kis yaad ka jhonka guzra
kis ne is ret mein ye phool se mehkaaye hain

ham ne socha tiri aankhen to uthe lab to hilen
is liye ham tiri mehfil se chale aaye hain

jin se insaan ke zakhamon ka mudaava na hua
aaj vo chaand sitaaron ki khabar laaye hain

chand sikko ki talab hasrat-e-beja to na thi
phir bhi ham phaile hue haath se ghabraaye hain

दर्द की रात ने ये रंग भी दिखलाए हैं
मेरी पलकों पे सितारे से उतर आए हैं

दिल के वीराने में किस याद का झोंका गुज़रा
किस ने इस रेत में ये फूल से महकाए हैं

हम ने सोचा तिरी आँखें तो उठें लब तो हिलें
इस लिए हम तिरी महफ़िल से चले आए हैं

जिन से इंसान के ज़ख़्मों का मुदावा न हुआ
आज वो चाँद सितारों की ख़बर लाए हैं

चंद सिक्कों की तलब हसरत-ए-बेजा तो न थी
फिर भी हम फैले हुए हाथ से घबराए हैं

  - Parveen Fana Syed

Basant Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Basant Shayari Shayari