tumhaara zauq-e-parastish mujhe aziz magar
main is zameen ki mitti mujhe khuda na kaho
tumhaare saath agar do-qadam bhi chal na sakoon
to khasta-paa hoon mujhe mujrim-e-wafa na kaho
ye ek pal ki dhadkati hayaat bhi hai bahut
tamaam-umr ke is rog ko bura na kaho
is ek khauf se lab si liye tumhaare huzoor
ki harf-e-shauq ko izhaar-e-muddaa na kaho
ye be-rukhi ka gila mujh se pehle khud se karo
use nigaah ka yak-tarfa faisla na kaho
guzarte waqt ke marham se bhar na jaaye kahi
is ek zakham ko chaahat ki intiha na kaho
main ek zinda haqeeqat hoon ek pal hi sahi
tumhaara aks hoon tum to mujhe fana na kaho
तुम्हारा ज़ौक़-ए-परस्तिश मुझे अज़ीज़ मगर
मैं इस ज़मीन की मिट्टी मुझे ख़ुदा न कहो
तुम्हारे साथ अगर दो-क़दम भी चल न सकूँ
तो ख़स्ता-पा हूँ मुझे मुजरिम-ए-वफ़ा न कहो
ये एक पल की धड़कती हयात भी है बहुत
तमाम-उम्र के इस रोग को बुरा न कहो
इस एक ख़ौफ़ से लब सी लिए तुम्हारे हुज़ूर
कि हर्फ़-ए-शौक़ को इज़हार-ए-मुद्दआ न कहो
ये बे-रुख़ी का गिला मुझ से पहले ख़ुद से करो
उसे निगाह का यक-तरफ़ा फ़ैसला न कहो
गुज़रते वक़्त के मरहम से भर न जाए कहीं
इस एक ज़ख़्म को चाहत की इंतिहा न कहो
मैं एक ज़िंदा हक़ीक़त हूँ एक पल ही सही
तुम्हारा अक्स हूँ तुम तो मुझे फ़ना न कहो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Life Shayari Shayari