uthi theen aandhiyaan jin ko bujhaane | उठी थीं आँधियाँ जिन को बुझाने

  - Parveen Fana Syed

uthi theen aandhiyaan jin ko bujhaane
vo shamaein aur bharken is bahaane

naqaaben bijliyon ki rukh pe dale
chaman waalon ne laute aashiyaane

ye kyun vehshat se lapka dast-e-gul-cheen
kali shaayad lagi thi kuchh bataane

abhi mauhoom hai sajde ka mafhoom
jhuka phir kis liye sar kaun jaane

shuur-e-zindagi ki dhaal le kar
chale ham maut se aankhen milaane

उठी थीं आँधियाँ जिन को बुझाने
वो शमएँ और भड़कें इस बहाने

नक़ाबें बिजलियों की रुख़ पे डाले
चमन वालों ने लौटे आशियाने

ये क्यूँ वहशत से लपका दस्त-ए-गुल-चीं
कली शायद लगी थी कुछ बताने

अभी मौहूम है सज्दे का मफ़्हूम
झुका फिर किस लिए सर कौन जाने

शुऊर-ए-ज़िंदगी की ढाल ले कर
चले हम मौत से आँखें मिलाने

  - Parveen Fana Syed

Maut Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Maut Shayari Shayari