bhool kar tujh ko bhara shehar bhi tanhaa dekhoon | भूल कर तुझ को भरा शहर भी तन्हा देखूँ

  - Parveen Fana Syed

bhool kar tujh ko bhara shehar bhi tanhaa dekhoon
yaad aa jaaye to khud apna tamasha dekhoon

muskuraati hui in aankhon ki shaadaabi mein
main tiri rooh ka tapta hua sehra dekhoon

itni yaadein hain ki jamne nahin paati hai nazar
band aankhon ke dareechon se main kya kya dekhoon

waqt ki dhool se uthne lage qadmon ke nuqoosh
tu jahaan chhod gaya hai wahi rasta dekhoon

yun to bazaar mein chehre hain haseen ek se ek
koi chehra to haqeeqat mein shanaasa dekhoon

भूल कर तुझ को भरा शहर भी तन्हा देखूँ
याद आ जाए तो ख़ुद अपना तमाशा देखूँ

मुस्कुराती हुई इन आँखों की शादाबी में
मैं तिरी रूह का तपता हुआ सहरा देखूँ

इतनी यादें हैं कि जमने नहीं पाती है नज़र
बंद आँखों के दरीचों से मैं क्या क्या देखूँ

वक़्त की धूल से उठने लगे क़दमों के नुक़ूश
तू जहाँ छोड़ गया है वही रस्ता देखूँ

यूँ तो बाज़ार में चेहरे हैं हसीं एक से एक
कोई चेहरा तो हक़ीक़त में शनासा देखूँ

  - Parveen Fana Syed

Promise Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Promise Shayari Shayari