ahl-e-gham aao zara sair-e-gulistaan kar len
gar khizaan hai to chalo shaghl-e-bahaaraan kar len
phir to har samt andhera hi andhera hoga
pau fati hai to luti bazm charaaghaan kar len
dil ki veeraaniyaan aankhon mein udaati hain ghubaar
mil ke ro len to kuchh un ko bhi farozaan kar len
qahqahon se to ghutan aur bhi badh jaayegi
aao chup rah ke hi is dard ka darmaan kar len
shaayad is tarah bagoolon ka guzar mumkin ho
apne veeraane ko kuchh aur bhi veeraan kar len
ham jo zinda hain to sab kahte hain kyun zinda hain
aao mar kar bhi maseehaon ko hairaan kar len
अहल-ए-ग़म आओ ज़रा सैर-ए-गुलिस्ताँ कर लें
गर ख़िज़ाँ है तो चलो शग़्ल-ए-बहाराँ कर लें
फिर तो हर सम्त अँधेरा ही अँधेरा होगा
पौ फटी है तो लुटी बज़्म चराग़ाँ कर लें
दिल की वीरानियाँ आँखों में उड़ाती हैं ग़ुबार
मिल के रो लें तो कुछ उन को भी फ़रोज़ाँ कर लें
क़हक़हों से तो घुटन और भी बढ़ जाएगी
आओ चुप रह के ही इस दर्द का दरमाँ कर लें
शायद इस तरह बगूलों का गुज़र मुमकिन हो
अपने वीराने को कुछ और भी वीराँ कर लें
हम जो ज़िंदा हैं तो सब कहते हैं क्यूँ ज़िंदा हैं
आओ मर कर भी मसीहाओं को हैराँ कर लें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Dil Shayari Shayari