aise lamhaat bhi guzarte hain | ऐसे लम्हात भी गुज़रते हैं

  - Parveen Fana Syed

aise lamhaat bhi guzarte hain
jab na jeete hain ham na marte hain

ham ki sha'ir hain dil ko khun kar ke
apne geeton mein rang bharte hain

zindagi ki haqeeqaton ke guhar
bahr-e-andesha se ubharte hain

kis qadar hoshiyaar hain ham bhi
apni deewaangi se darte hain

ik zara si khushi ki chaahat mein
ham ghamon se nibaah karte hain

ऐसे लम्हात भी गुज़रते हैं
जब न जीते हैं हम न मरते हैं

हम कि शाइ'र हैं दिल को ख़ूँ कर के
अपने गीतों में रंग भरते हैं

ज़िंदगी की हक़ीक़तों के गुहर
बहर-ए-अंदेशा से उभरते हैं

किस क़दर होशियार हैं हम भी
अपनी दीवानगी से डरते हैं

इक ज़रा सी ख़ुशी की चाहत में
हम ग़मों से निबाह करते हैं

  - Parveen Fana Syed

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari