tujh ko ab koi shikaayat to nahin | तुझ को अब कोई शिकायत तो नहीं

  - Parveen Fana Syed

tujh ko ab koi shikaayat to nahin
ye magar tark-e-mohabbat to nahin

meri aankhon mein utarne waale
doob jaana tiri aadat to nahin

tujh se begaane ka gham hai warna
mujh ko khud apni zaroorat to nahin

khul ke ro luun to zara jee sambhale
muskurana hi masarrat to nahin

tujh se farhaad ka tesha na utha
is junoon par mujhe hairat to nahin

phir se kah de ki tiri manzil-e-shauq
mera dil hai meri soorat to nahin

teri pehchaan ke laakhon andaaz
sar jhukaana hi ibadat to nahin

तुझ को अब कोई शिकायत तो नहीं
ये मगर तर्क-ए-मोहब्बत तो नहीं

मेरी आँखों में उतरने वाले
डूब जाना तिरी आदत तो नहीं

तुझ से बेगाने का ग़म है वर्ना
मुझ को ख़ुद अपनी ज़रूरत तो नहीं

खुल के रो लूँ तो ज़रा जी सँभले
मुस्कुराना ही मसर्रत तो नहीं

तुझ से फ़रहाद का तेशा न उठा
इस जुनूँ पर मुझे हैरत तो नहीं

फिर से कह दे कि तिरी मंज़िल-ए-शौक़
मेरा दिल है मिरी सूरत तो नहीं

तेरी पहचान के लाखों अंदाज़
सर झुकाना ही इबादत तो नहीं

  - Parveen Fana Syed

Ibaadat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Fana Syed

As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Fana Syed

Similar Moods

As you were reading Ibaadat Shayari Shayari