ik ik ko itaab baante ho
kis tarah ke khwaab baante ho
har chehre pe jhurriyaan likhi hain
tum kaisa shabaab baante ho
firdaus tumhaare haath mein hai
bandon ko azaab baante ho
ik ek kali ka rang faq hai
ye kaise gulaab baante ho
aankhon mein to ratjage likhe hain
tum samjhe ki khwaab baante ho
इक इक को इताब बाँटते हो
किस तरह के ख़्वाब बाँटते हो
हर चेहरे पे झुर्रियाँ लिखी हैं
तुम कैसा शबाब बाँटते हो
फ़िरदौस तुम्हारे हाथ में है
बंदों को अज़ाब बाँटते हो
इक एक कली का रंग फ़क़ है
ये कैसे गुलाब बाँटते हो
आँखों में तो रतजगे लिखे हैं
तुम समझे कि ख़्वाब बाँटते हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Fantasy Shayari Shayari