chot nayi hai lekin zakham puraana hai
ye chehra kitna jaana-pahchaana hai
saari basti chup ki dhund mein doobi hai
jis ne lab khole hain vo deewaana hai
aao us suqraat ka istiqbaal karein
jis ne zahar ke ghoont ko amrit jaana hai
ik ik kar ke sab panchi dam tod gaye
bhari bahaar mein bhi gulshan veeraana hai
apna padaav dast-e-wafa be-aab-o-giyaah
tum ko to do chaar qadam hi jaana hai
kal tak chaahat ke aanchal mein lipta tha
aaj vo lamha khwaab hai ya afsaana hai
चोट नई है लेकिन ज़ख़्म पुराना है
ये चेहरा कितना जाना-पहचाना है
सारी बस्ती चुप की धुँद में डूबी है
जिस ने लब खोले हैं वो दीवाना है
आओ उस सुक़रात का इस्तिक़बाल करें
जिस ने ज़हर के घूँट को अमृत जाना है
इक इक कर के सब पंछी दम तोड़ गए
भरी बहार में भी गुलशन वीराना है
अपना पड़ाव दश्त-ए-वफ़ा बे-आब-ओ-गियाह
तुम को तो दो चार क़दम ही जाना है
कल तक चाहत के आँचल में लिपटा था
आज वो लम्हा ख़्वाब है या अफ़साना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Fana Syed
our suggestion based on Parveen Fana Syed
As you were reading Fantasy Shayari Shayari