patthar ki zabaan ki shaayera ne
ik mehfil-e-sher-o-shaayari mein
jab nazm sunaate mujh ko dekha
kuchh soch ke dil mein muskuraai
jab mez par ham mile to us ne
badh kar mere haath aise thaame
jaise mujhe khojti ho kab se
phir mujh se kaha ki aaj parveen
jab sher sunaate tum ko dekha
main khud ko bahut hi yaad aayi
vo waqt ki jab tumhaari soorat
main bhi yoonhi sher kah rahi thi
likhti thi isee tarah ki nazmein
par ab to vo saari nazmein ghazlein
guzre hue khwaab ki hain baatein
main sab ko dison kar chuki hoon
patthar ki zabaan ki shaayera ke
chambeli se narm haath thaame
khushboo ki safeer sochti thi
dar-pesh hawaon ke safar mein
pal pal ki rafeeq-e-raah mere
andar ki ye saada-lauh ailis
hairat ki jameel vaadiyon se
vehshat ke muheeb junglon mein
aayegi to us ka fool-lahja
kya jab bhi saba-nafs rahega
vo khud ko dison kar sakegi
'पत्थर की ज़बाँ'' की शाएरा ने
इक महफ़िल-ए-शेर-ओ-शायरी में
जब नज़्म सुनाते मुझ को देखा
कुछ सोच के दिल में मुस्कुराई
जब मेज़ पर हम मिले तो उस ने
बढ़ कर मिरे हाथ ऐसे थामे
जैसे मुझे खोजती हो कब से
फिर मुझ से कहा कि आज, 'परवीन'!
जब शेर सुनाते तुम को देखा
मैं ख़ुद को बहुत ही याद आई
वो वक़्त कि जब तुम्हारी सूरत
मैं भी यूँही शेर कह रही थी
लिखती थी इसी तरह की नज़्में
पर अब तो वो सारी नज़्में ग़ज़लें
गुज़रे हुए ख़्वाब की हैं बातें!
मैं सब को डिसओन कर चुकी हूँ!
''पत्थर की ज़बाँ'' की शाएरा के
चम्बेली से नर्म हाथ थामे
''ख़ुश्बू'' की सफ़ीर सोचती थी
दर-पेश हवाओं के सफ़र में
पल पल की रफ़ीक़-ए-राह मेरे
अंदर की ये सादा-लौह 'ऐलिस'
हैरत की जमील वादियों से
वहशत के मुहीब जंगलों में
आएगी तो उस का फूल-लहजा
क्या जब भी सबा-नफ़स रहेगा!?
वो ख़ुद को डिसओन कर सकेगी!?
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Yaad Shayari Shayari