yahan kise hansne ki furqat rakhi hai
ek se nimto doosri aafat rakhi hai
har jaanib ik khel hai aapaa-dhaapi ka
manzar manzar kaisi vehshat rakhi hai
sochun to bazaar bhi chhota lagta hai
ghar ke andar itni zaroorat rakhi hai
tere dil ko pyaar se maala-maal kare
phool ke andar jis ne nikhat rakhi hai
ek ke dukh mein saare roya karte hain
ghar mein abhi ajdaad ki daulat rakhi hai
यहाँ किसे हँसने की फ़ुर्सत रक्खी है
एक से निमटो दूसरी आफ़त रक्खी है
हर जानिब इक खेल है आपा-धापी का
मंज़र मंज़र कैसी वहशत रक्खी है
सोचूँ तो बाज़ार भी छोटा लगता है
घर के अंदर इतनी ज़रूरत रक्खी है
तेरे दिल को प्यार से माला-माल करे
फूल के अंदर जिस ने निकहत रक्खी है
एक के दुख में सारे रोया करते हैं
घर में अभी अज्दाद की दौलत रक्खी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez akhtar
our suggestion based on Parvez akhtar
As you were reading Sad Shayari Shayari