kisi se kahi jee lagaane se pehle | किसी से कहीं जी लगाने से पहले

  - Parvez akhtar

kisi se kahi jee lagaane se pehle
zara pooch lete zamaane se pehle

qayamat ki baabat bataate nahin ho
na aane se pehle na jaane se pehle

ye dil hain ye aankhen bahut muztarib hain
thikaane laga jaao jaane se pehle

bhalaai bhi thodi si jholi mein hoti
gunaahon ki jannat kamaane se pehle

taghayyur har ik zindagi ka muqaddar
main roya bahut muskuraane se pehle

kisi ne bhi haasil ki baabat na socha
zameenon pe laashein girane se pehle

bahut chain se zindagi kat rahi thi
fareb-e-mohabbat mein aane se pehle

yahan zindagi lahlahaati thi har soo
yahan khet the kaar-khaane se pehle

किसी से कहीं जी लगाने से पहले
ज़रा पूछ लेते ज़माने से पहले

क़यामत की बाबत बताते नहीं हो
न आने से पहले न जाने से पहले

ये दिल हैं ये आँखें बहुत मुज़्तरिब हैं
ठिकाने लगा जाओ जाने से पहले

भलाई भी थोड़ी सी झोली में होती
गुनाहों की जन्नत कमाने से पहले

तग़य्युर हर इक ज़िंदगी का मुक़द्दर
मैं रोया बहुत मुस्कुराने से पहले

किसी ने भी हासिल की बाबत न सोचा
ज़मीनों पे लाशें गिराने से पहले

बहुत चैन से ज़िंदगी कट रही थी
फ़रेब-ए-मोहब्बत में आने से पहले

यहाँ ज़िंदगी लहलहाती थी हर सू
यहाँ खेत थे कार-ख़ाने से पहले

  - Parvez akhtar

Kashmir Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez akhtar

As you were reading Shayari by Parvez akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Parvez akhtar

Similar Moods

As you were reading Kashmir Shayari Shayari