tanj karta hai aaina mujh par | तंज़ करता है आइना मुझ पर

  - Parvez akhtar

tanj karta hai aaina mujh par
waqt kaisa ye aa pada mujh par

ek halki si zarb maari thi
shehar saara hi aa pada mujh par

aisa lagne laga hai ab mujh ko
har museebat ki intiha mujh par

jaan de kar hi ho saka hai ada
kai sadiyon ka qarz tha mujh par

soora-e-naas padhta rehta hoon
koi jaadu na chal saka mujh par

dhoondhne ek bhi nahin nikla
sabhi padhte hain faatiha mujh par

umr guzri wafa-shi'aari mein
qatl hona bhi farz tha mujh par

log karte gaye karam pe karam
qarz badhta chala gaya mujh par

chalta rehta hoon bin thake parvez
khulta jaata hai raasta mujh par

तंज़ करता है आइना मुझ पर
वक़्त कैसा ये आ पड़ा मुझ पर

एक हल्की सी ज़र्ब मारी थी
शहर सारा ही आ पड़ा मुझ पर

ऐसा लगने लगा है अब मुझ को
हर मुसीबत की इंतिहा मुझ पर

जान दे कर ही हो सका है अदा
कई सदियों का क़र्ज़ था मुझ पर

सूरा-ए-नास पढ़ता रहता हूँ
कोई जादू न चल सका मुझ पर

ढूँडने एक भी नहीं निकला
सभी पढ़ते हैं फ़ातिहा मुझ पर

उम्र गुज़री वफ़ा-शिआ'री में
क़त्ल होना भी फ़र्ज़ था मुझ पर

लोग करते गए करम पे करम
क़र्ज़ बढ़ता चला गया मुझ पर

चलता रहता हूँ बिन थके 'परवेज़'
खुलता जाता है रास्ता मुझ पर

  - Parvez akhtar

Qatil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez akhtar

As you were reading Shayari by Parvez akhtar

Similar Writers

our suggestion based on Parvez akhtar

Similar Moods

As you were reading Qatil Shayari Shayari